Surah Al-Baqarah – Naam Aur Wajah-e-Tasmiya Urdu / Hindi & English | Qalamdaan-e-Adab

 

Surah Al-Baqarah – Naam Aur Wajah-e-Tasmiya Urdu / Hindi and English



سورة البقرة - نام اور وجۂ تسمیہ:

 

 

Al-Baqarah, Surah Al-Baqarah


اس سورة کا نام "بقرة" اس لیے ہے کہ اس میں ایک جگہ گائے کا ذکر آیا ہے۔ قرآنِ مجید کی ہر سورة میں اس قدر وسیع مضامین بیان ہوئے ہیں کہ ان کے لیے مضمون کے لحاظ سے جامع عنوانات تجویز نہیں کیے جا سکتے۔ عربی زبان اگرچہ اپنی لغت کے اعتبار سے نہایت مالدار ہے، مگر بہرحال ہے تو انسانی زبان ہی۔ انسان جو زبانیں بھی بولتا ہے وہ اس قدر تنگ اور محدود ہیں کہ وہ ایسے الفاظ یا فقرے فراہم نہیں کر سکتیں جو ان وسیع مضامین کے لیے جامع عنوان بن سکتیے ہوں۔ اس لیے نبی صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم نے اللّٰه تعالٰی کی رہنمائی سے قرآن کی بیشتر سورتوں کے لیے عنوانات کے بجائے نام تجویز فرمائے جو محض علامت کا کام دیتے ہیں۔ اس سورة کو بقرة کہنے کا مطلب یہ نہیں ہے کہ اس میں گائے کے مسئلہ پر بحث کی گئی ہے بلکہ اس کا مطلب صرف یہ ہے کہ "وہ سورة جس میں گائے کا ذکر آیا ہے۔"  

(حوالہ: تفہیم القرآن)

 

 

 

Is Surah ka naam “Baqarah” is liye hai keh is mei’n aik jagah gaaye ka zikr aaya hai. Qur'an-e-Majeed ki har Surah mein is qadr wasi’i mazameen bayan huey hai'n keh in ke liye mazmoon ke lehaz se jaame’y unwanaat tajweez nahi’n kiye ja sakte. Arabi zaban agarche’h apni lughat ke aitbar se nihayat maaldaar hai, magar bahar’haal hai tau insani zaban hi. Insan jo zabanei’n bhi bolta hai woh is qadr tang aur mehdud hain keh woh aise alfaz ya fiqrey faraham nahi’n kar sakti’n jo in wasi’i mazameen ke liye jaame’y unwaan ban saktey ho’n. Is liye Nabi (Sallallaho Alaihey Wa’aalihi Wasallam) ne Allah Ta’ala ki rehnumai se Qur’an ki beshtar Surato’n ke liye unwanaat ke bajaye naam tajweez farmaye jo mehaz alaamat ka kaam detey hain. Is Surah ko Baqarah kehne ka matlab yeh nahi’n hai keh is mei’n gaaye ke mas’aley par behas ki gayi hai balke is ka matlab sirf yeh hai keh “Woh Surah jis mei’n gaaye ka zikr aaya hai

(Reference: Tafhim-ul-Qur’an)

Post a Comment

0 Comments